Make Up Tips In Urdu
Source:- Google.com.pk
Asia ko Khuda nay khoobsoorti
say malamaal bnaya hai aur yaheen per Pakistan bhi hai. Pakistan bhi duniya kay
khoobsooraat tareen mumalik mein shumaar kia jata hai. Aik taraf qudrati
khoobsoorti ki baat hai tou doosri taraf insaano ki khoobsoorti. Pakistani
khawateen bhi duniya bher mein apni dalkashi ki wajha say mashhoor hain. Qudrat
nay Pakistani aurat ko bohut haseen bnaya hai. Mager in haseen khawateen ko bhi
makeup ka sahara laina perta hai.
Duniya bher mein mukhtalif
tareeqoon say makeup kia jata hai. Isi terha Pakistan mein bhi makeup ka apna
andaaz hai. Makeup kay kai andaaz hain aur duniya bher say mukhtalif terha ka
makeup apnaya jata hai. Pakistan mein bhi isi terha. Bay shumaar iqsaam ka
makeup kia jata hai. Mager aam taur per Pakistan mein khawateen halkay phulkay
andaaz ka makeup kerti hain. Zail mein Pakistani andaaz e bnaao singhaar kay
baray mein kuch tafssel hai:
Aam taur per Pakistani
khawateen gandumi rangat ki hoti hain iss liye thori si foundation say hee kaam
chal jata hai. Mager phir bhi foundation laganay kay liye zaroori hai keh aap
jild ki rangat kay hisaab say foundation lagain. Garam mausam ho tou face
powder lagana na bhoolain. Issi terha ager dagh dhabbay ziada hoon tou
concealer ki madad lain. Pakistani aab o hawa achi hai iss liye yahan ziada ter
khawateen ki jild bhi bay hadd achi aur pur kashish hoti hai.
Eye makeup bay had halka
pasand kiya jata hai. Kiyun kay halka makeup hee natural look daita hai aura am
taur per khawateen halka makeup pasand kerti hain. Haan mager shadi bayah ya
parties wagaira mein gehra makeup bhi kiya jata hai.
Eye liner hamesha aankh ki
shape kay hisaab say kiya jata hai. Akser bareek eye liner lagay jata hai.
Mager kuch khawateen aur larkiyaan mota eye liner laga ker apni aankhoon ko
mazeed khoobsoorat bnana pasand kerti hain. Mota eye liner glamorous look daita
hai iss liye amooman parties mein lagaya jata hai. Blush on bhi neutral colors
ka lagana pasand kiya jata hai. Raat ka waqt ho tou shimmer lagnay ko terjeeh
di jati hai. Ziada ter peach aur pink blush on lagana behter samjha jata hai.
Lipstick kay bhi her terha kay
shades lagaye jatay hain. Mager chehray ki munasibat ka dayhaan rakha jata hai.
Akser red, brown ya pink color kay mukhtalif shades istemaal kiye jatay hain.
Mager jiddat ki wajha say bohut say gair
mamooli colors ka istemaal bhi kiya jata hai. Wohi baat, waqt aur mauqay kay
aitebaar say aur libas kay rung ki munasibat say lip color ka intekhaab kiya
jata hai. Aaj kal lip gloss ka istemaal bhi kasrat ki kiya jata hai. Raat kay
waqt kisi taqreeb mein jana ho tou gehray aur bharkeelay shades pasand kiye
jatay hain.
Isi terha ager aap ko bahar
jana ho, koi taqreb ho, dostoon say milna ho ya koi bhi function, aap makeup
kay zariye haseen dikhaai daina chahti hai. Libas ka intekhab bhi daikh bhaal
kay kerti hain, Kiyun kay garmi kay mausam yani summer mein paseena aur name
apko pareshaan rakhti hai. Iss liye halka phula makeup karain aur light colors
ka intekhaab karain. Iss terha aap sari mehfil ki jaan bun sakti hain. Ajj hum
apkay sath garmiyoon yani summer kay layhaaz makeup tips share ker rahay hain.
Umeed hai apko faida ho ga:
Hamesha water base, pan cake
ka istemaal karain. Yeh dair tuk barqaraar rehti hai aur apko baar baar theek
nahi kerna perta. Base ka ziada istemaal na karain. Jitna neutral make up ho ga
utna hee acha lagay ga.
Blush on ka istemaal zaroor
karain. Iss say chehra khila khila nazer ata hai. Light pink, peach aur pink
rose color ka istemaal bhala lagta hai. Apka chehra roshan aur chamak daar
nazer ata hai.
Eye makeup kay liye bhi gehray
shades ka istemal na karain. Garmi kay mausam mein jitna nude shades ka istemal
ho ga utna he ap haseen nazer ain gi. Raat ka koi function ho tou shimmery eye shades ka istemaal kia ja
sakta hai Mager din kay waqt light shades he bhalay lagtay hain.
Eye makeup kay baad bareek eye
liner lagain tou aankhain aur haseen aur khushnuma lagain gi.
Iss kay baad mascara lagain.
Eye lash curler ka istemaal bhi behter rehta hai. Mascara water proof hona
chahiye. Taa kay paseenay aur nami say who phail na jaye.
Lipstick kay gehray shades bhi
hargiz na lagain. Garami mein aur chilchilati dhoop mein gehray rung aankhoon
ko achay nahi lagtay. Matte lipstick aur light shades ka intekhaab behter rehta
hai. Layhaza halkay rung lagain aur lip gloss say chamak hasil karain. Lip
gloss kay intehaai khoobsoorat shades aaj kal market mein miltay hain iss liye
ab nihayat asaani say aap achay shades khared ker istemaal ker sakti hain.
Jitna ziada aap natural rahain gi utna hee aap haseen nazer aain gi. Makeup ka
bay jaa istemal acha nahi lagta aur aap apni umer say bari bhi dikhaai dain gi.
Halka aur light make up aapko na sirf acha lagay ga balkay apki umer bhi kum
lagay gi. Baaloon ko bhi baandh ker rakhain tou aap garmi say bach sakti hain
aur daikhnay mein bhi acha lagta hai. Ooper di gai tips per amal karain aur
garam mausam yani summer mein bhi haseen dikhaai dain. Natural makeup apko bay
had haseen bnata hai. Iss liye in summer makeup tips per amal karain aur haeen
nazer ain.
No comments:
Post a Comment