Beauty Tips For Face In Urdu Definition
Source:- Google.com.pk
Chehray kay aam masaail mein say aik masla chaiyoon yani
freckles ka bhi hai. Chaiyaan ya freckles amooman rukhsaroon aur naak pe
namoodar hoti hain. Chaiyan yani frekeles ki wajha say naa sirf apka qudrati
husn maand per jata hai balkay in ki wajha say chehray ka taasur kharaab ho
jata hai.
Chaiyaan dar asal bhooray(brown) rung ka daag dhabbay
hotay hain jo k soraj ki roshni mein ziada nikalnay say paida ho jatay hain aur
chehray per bohut nagawaar lagtay hain. Chaiyaan pehlay pehal daag dabhoon ki
soorat mein namoodaar hoti hain aur ahista ahista chaiyoon ki shakal ikhtiyaar
ker laity hain. Aam khayaal kiya jata hai kay chaiyaan married logoon k chehray
per hee namoodaar hain mager yeh taasur sara ser galat hai. Chaiyon ka shadi
shuda ya gair shadi shuda honay say koi taaluk nahi.
Asal mein frekeles yaani chaiyoon ki wajha jism mein
folaad ki kami aur mutnasib ghiza k na honay ki wajha say hota hai.
Shadi shuda khawateen mein choonkay bachay ki paidaish ki
wajha say taqat ki kami ho jati hai aur bachay ko doodh pilanay say mazeed
tawanai kum ho jati hai aur iss wajha say khoon ki kami paida ho jati hai jo k
chaiyon ka bais bunta hai. Zail mein kuch gharailoo totkay darj kiye jatay hain
jo k apko chaiyoon ko kum kernay aur in say nijaat hasil kernay k liye madad
gaar sabit hon gay:
Seepoon(seashells) ka powder, arq e gulab, lemoo ka rus
sur haldi ka powder lain aur in sub ajza ko achi terha mix ker lain. Raat ko
sonay say pehlay iss paste ko chehray per laga lain aur subah uth ker dho lain.
Yeh totka na sirf chaiyaan balkay dagh dabhay bhi door kerta hai.
Chaiyoon ya freckles ko door kernay behtareen tareeqa yeh
hai k aap chehray per shehed ka istemaal karain. Din mein kaii baar istemaal
kernay say na sirf apkay chehray per qudrati chamak aiye gi balkay iss say
chaiyaan aur daag bhi door hotay hain.
Lemoon ka rus qudrati taur pe daag dhabbay aur chaiyoon
ko door kernay k liye istemaal kiya jata hai. Vitamin E cream aur capsule ka
istemaal bhi chaiyoon yani freckles ko door kernay k liye nihayat mufeed samjha
jata hai. Kuch he haftoon mein aap kay chehray say tamaam daag aur chaiyaan
door ho sakti hain ager ap musalal vitamin E ka istemaal karain.
Aik aur beauty tip kjo k bayhaad aasaan aur faida mund
hai who yeh hai k aap chehray per maujood daag dhaboon ko door kernay k liye
barf yani ice cubes ka istemaal karain. In ko chehray per 15 minute tuk
ragernay say daag aur chaiyan door hotay hain.
Aelo vera gel ya juice ka istemaal bhi nihayat faida
baksh hai. Yeh chehray per dobara daag aur chahiyaan namoodaar honay say bhi
bachata hai.
Aik aur beauty tip hai jo k freckles ko door kernay k
liye nihayat mufeed hai kuch yoon hai k aap baisan, glycerin, sandal ki larki
ka powder, haldi poder, arq e gulab, doodh, lemoo ka rus, kewra ka paani lain
aur sub ajza ko mix ker k aik paste bna lain. Ab iss ko chehray per lagain. Rat
ko sonay say pehlay isko lagana behter hai. Subah uth ker moon dho lain. Is kay
istemaal say ap ka chehray daag dhabboon aur chaiyoon say paak ho jaye ga,
rangat saaf ho gi aur apki jild narm o mulaiim ho jaye gi.
Chaiyan ya freckles kam karne ka aik nahayat asaan aur
qadurti yani natural tarika yeh hai ke chehre ki mutasira jagah par dhoodh ka
mask laga lain aur 10 minutes baad thanday pani se dho lain.
Qudrat ne khatay phalon (malta, leemon, chakotra) aur sab
paton wali sabziyon (saag, palak, band ghobhee) main aisey ghazai ajza rakhen
hain jo chaiyan kam karne main mofeed hony k sath sath sehet ke liye aur bhi
bohat se fawaid rakhte hain.
Gajar, tamatar ya papeetey ka juice ya waise khana bhi
freckles kam karne k liye mofeed hota hai.
No comments:
Post a Comment