Health Tips in Urdu
Source:- Google.com.pk
Agar aap khanay mein teezi dekhatay hain to iss baat ka
bohat zada imkaan hai keh aap ka shaamaar motay logun mein honay lagay. Aik
jaizay sey 40 aur 50 saal ki omar ki khwateen bohat jaldi jaldi khana khahti
hain, woh aista aista bohat jaldi khanay walon kay muqabalay mein motapay ka
shaikar hosakti hai.
Iss sey phelay aik Japani jaizay mein yeh baat batahai
jachuki hai keh teezi se halaq sey khana utharanay walon mein farba honay ka
imkaan dugna hojata hai. Aik university mein iss cheez ka jaiza liya gaya. Yeh
dekha gaya jo mard hazrat teezi sey khana khaha rahay thay, in mein motapay ka
khatra 84 guna ziadah tha. Jab keh is qism ki khwateen mein farbhi ka indisha
taqreeban dugna tha.
Aik university kay professor kehtay hain keh jab hum
bohat teezi sey nowala halaq sey utharnay lagtay hain. To is sey woh mechanism
jo humaray dimagh ko shakm seeri ki itlaha daita hai, muhtil hojata hai. Muqsus
uzaab dimagh pouchtay hain keh maida phel raha hai. Issi duraan aik harmon jis
ka naam Ghrelin hai aur jo iss waqt tayaar hota hai jab maida khaali hota hai
aur dimgh ko paigham daita hai keh bhook lagae hai, lekhin jaldi jaldi khanay
ki surat mein iss Harmon ki miqdar ghatnay lagti hai. Jis waqt ap khana shuru
kartay hain, iss waqt dimgh tak yeh paigham pouchnay kay liyeh keh ab aap
kahana band kardain kyun keh aap ka pait bhar chukka hai. Taqereeban 20 minute
lagtay hain. Iss naat ko aasaan lafzon mein yun samja jasakta hai.
Jab aap teez teez
khana khahtay hain to iss baat ka to iss baat ka imkaan qowi hota hai keh aap
mayday mein zarorat zaidah bhar aur basya khori ka shaikar ho jaye. Unonay nay
kaha keh jald baazi khanay ki adad umoman bachpan mein parti hai aur is ski
wajah yeh hoti hai keh bachay jaldi jaldi khana khutam dinning table sey
khiskna chahtay hain takay koii aur maan pasand mushguliaat ikhtiyaar
karsakain. Lekhin hairan kin baat yeh hai keh bohat logun mein baloqat kay baad
bhi yeh aadad pukta rehti hai.
Aik aur medical university kay research nay apni tehqeeq
mein yeh bhi dekha hai keh jaldi jaldi khanay ki wajah sey mayday m,ein
teezyabi ka khatra bhi bahr jata hai. Unonay dekha keh 690 Calories wali ghiza
30 minute kay bajaye 5 minute mein khutam karnay sey teezyabi maday ki aatoon
sey mayday ki taraf wapsi kay 50 fesed zaidah imkanaat hotay hain kyun keh
ghizahi naali baray baray nawaaloon sey bahri hoti hai aur mayday mein teezyabi
mada mein zaidah jamah hojatay hain. Agar zaidah teezi sey khanay ki aadad ka
silsila kaii mah tak jari rahae to iss sey Gastroesophagul Reflux Disease
hosakti hai. Jis mein ghizahi naali patli hojati hai, iss sey khoon risnay
lagta hai ya cancer sey phelay ki surat-e-haal Barrett’s Esophagus paida hojati
hai.
Teez raftaari sey khanay ki surat mein nawaloon kay sath
aawa ki zaidah miqdaar nechay jari hoti hai. Jis sey ghiza haazam karnay wali
naali mein takleef hoti hai. Nawala phns sakta hai. Doctor ka khena hai keh
agar aap apni ghiza ko achi trah chuba kar khahaye to khana khutam karnay mein
aap ko kam az kam 20 minute lagnay chahaye. Agar aap khanay kay doran yeh
andaza na laga sak rahay hun to aapnay zarorat kay mutabiq khana khaha liyeha
ya nahi to iss ka aik aasaan tareeqa yeh keh aap kharay hojaye, agar aap khud
ko mutmian lekhin bohat zaidah bhara mehsoos na karain to samj lain keh aap nay
zarorat kay mutabiq khaha liya hai.
No comments:
Post a Comment